Thursday 19 August 2021

Keshav Pandit Hindi Novels

Hello friends, kaise hain aap sab, aaj pehli bar main apni post me kuch likh raha hu actually mujhse raha nahi gya, sabse pehle main ye bata du k main comics bahut kam padhta tha kyunki mujhe novel padhna pasand tha, lekin ek samay aisa aya k maine novels bhi padhna chhod diya thaa. Bahut waqt aise hi gujar gaya, phir ek din maine internet pe ek comics blog dekha, (abhi mujhe blog ka naam yaad nahi hai, ye bahut saal pehle ki baat hai) to main kafi excited hua aur maine us blog se kuch comics download bhi ki lekin jaise k main pehle bata chuka hu k comics se jayada mujhe novels me interest tha to maine us blog pe jayada dhyan nahi diya.

Phir Shuru hua searching ka silsila, ji haan aap sahi samjhe, novels ki search. Main is kadr internet pe novels dhundhne laga jaise koi chota bacha apna khoya hua khilona dhundta hai, after all mujhe lagbhag 20 saal ho chuke the koi novel padhe, to itna excitement to  banta tha. Khair main jaise jaise novels search karta gaya meri bhukh aur badhti gayi lekin mujhe koi novel nahi mila internet se, phir maine socha k book stalls ko khangala jaye, lekin sabse badi problem ye thi k woh sare book stalls ya to colse hu chuke the ya unhone comics/ novels ka kaam band kar diya tha, bahut dhundha apne shehar me, aas pass ke kuch shehron me, lekin kuch nahi mila.

Tab maine phir se internet pe dhundna shuru kiya to finally mujhe Raj Comics ki official site pe kuch novels ki collection mili, aisa laga jaise khoya hua khilona mil gaya. Sorry friends maine itna kuch likh diya lekin abhi tak maine apko ye nahi bataya k mera favorite writer kaun tha, ye post likhne ke liye main majboor hua hu to sirf aur sirf us writer ki wajah se jiska naam hai "Keshav Pandit" maine bahut se writers ke novels padhe the lekin jo maja Keshav Pandit ke novels padhne me milta tha woh mujhe kisi aur writer ko padhne se nahi milta tha, (its my persoanl opinion) baki pasand apni-apni wali baat hai.

Ab jab mujhe mera bachpan ka khazana mil gaya tha to ab der kaisi, maine Raj Comics ki site se keshav pandit ke sare novels online purchase kar liye, jo ki mujhe milne the kareeb 20-25 din me aur main 20 saal baad keshav pandit ke novels purchase kar raha tha to mere liye wait karna bahut mushkil tha, order karne ka baad maine woh 20 din kaise kate the ye main hi janta hu. Finally woh din a gaya jab mujhe mera parcel mila, dhadkte dil se maine box khola aur Keshav Pandit ke novels ko ek tak bas dekhta hi raha, kitni der tak, pata nahi. To be continued.....................

(To get single link)

007 Kab Mitegi Gundagardi
014 Maa Takrayegi Kanoon Se
021 Court Room
023 Tukde Kar do Kanoon Ke 
025 Kanoon Ki Lomdi
027 Khoon Baha De Lal Mere
032 Mat Becho Kanoon Ko
033 Makdi Ka Jaal
034 Jiski Lathi Uski Bhains
036 Tabahi Machayegi Vidhva
038 Kanoon Ka Khiladi
039 Tigni Ka Naach
040 Holi Khelega Tiranga
043 Khadi Me Lipta Mafia
046 Daak Bangla
047 Maa Lalkare Shaitan Ko
049 Pagli Mai Bole Jai Hind
050 Tu Lomdi Main Chankya
051 Master Mind
054 48 Inch Ka Hitler
055 Dimag Ki Jung
056 Sher-Cheete Ki Ladai
057 Ring Master
058 Dhai Inch Ka Bazigar
060 Ban Ja Beta Bhasmasur
063 Dhai Aane Ka Vakil
064 Kanoon Ka Joker
066 Bavan Gaj Ka Bauna
068 Juta Ucha Rahe Hamara
072 Guru Chele Ki Jung
073 Kanoon Ki Dukan
074 Tu Pandit Main Kasai
078 Yeh Desh Hai Veer Jawano Ka
080 Kala Katil Gori Lash
081 Pachas Crore Ka Bhikhari
084 Mauder Mistry
087 Murda Bada Badmash Hai
088 Kekda
091 Himalya Se Uncha Hai Kanoon
093 Andha Nahi Hai Kanoon
095 Dimag Ghoom Jayega
096 Fas Gya Jadugar
098 Tu Ser Main Sava Ser
099 Jiska Danda Uska Kanoon
100 Keshav Ki Shadi
103 Dulhan Ek Rupaye Ki
104 Dekh Tamasha Nagin Ka
105 Wo Lash Khane wala
106 Yeh Shehar Hai Chuhon ka
107 Dedh Pasli Ka Ravan
109 Sikander Harega Dimag Se
112 Shankh Bajaunga Hath Nachaunga
113 Kab Aaoge Krishn Knahya
114 Sher Bolega Mayaun-Mayaun
115 Kashmir Nahi Katora Milega
121 Sudarshan Chakra Hai Dimag Mera
124 Angrejo Vapas Aa Jao
125 125 Sal Ka Maha Pandit
126 Ghungroo Bandh Nachega Murda
128 Haddion se banega Taj Mahal
129 Sansad Me Garjegi Top
130 Kanoon Ka Pandav Karega Tandav
131 Dugdugi Bajaunga Fauj Nachaunga
132 Ab Dekh Nard Ki Leela
134 Jahangir Mang Raha Insaf
136 Takht Badl Do Taj Badl Do
137 Gidh Baithenge Teri Chhat Par
138 Kanoon Ka Dhanush Jurm Ke Teer
139 Sun Chudion Ka Shankh Naad
140 Chuha Karega Sher Sawari
142 Sehra Bandh Kar Ayega Katil
143 Kafan Odhkar Ayega Yamdut
144 Insaf Karega Keshav Ka Beta
145 Sher Sawari Padegi Bhari
146 Bander Lega Madari Ka Imtihan
147 Beta Chahiye Kans Jaisa
148 Kanoon Se Karaunga Katl
149 Kurukshetra Me Hogi Ramlila
150 Pandit Ayega Dhamaal Machayega
151 Dekh Mere Kanoon Ka Jalwa
152 Biwi Nahi Paheli Hai Woh


(To get single link)

No comments:

Post a Comment