Novel Section

Hello friends, kaise hain aap sab, aaj pehli bar main apni post me kuch likh raha hu actually mujhse raha nahi gya, sabse pehle main ye bata du k main comics bahut kam padhta tha kyunki mujhe novel padhna pasand tha, lekin ek samay aisa aya k maine novels bhi padhna chhod diya thaa. Bahut waqt aise hi gujar gaya, phir ek din maine internet pe ek comics blog dekha, (abhi mujhe blog ka naam yaad nahi hai, ye bahut saal pehle ki baat hai) to main kafi excited hua aur maine us blog se kuch comics download bhi ki lekin jaise k main pehle bata chuka hu k comics se jayada mujhe novels me interest tha to maine us blog pe jayada dhyan nahi diya.

Phir Shuru hua searching ka silsila, ji haan aap sahi samjhe, novels ki search. Main is kadr internet pe novels dhundhne laga jaise koi chota bacha apna khoya hua khilona dhundta hai, after all mujhe lagbhag 20 saal ho chuke the koi novel padhe, to itna excitement to  banta tha. Khair main jaise jaise novels search karta gaya meri bhukh aur badhti gayi lekin mujhe koi novel nahi mila internet se, phir maine socha k book stalls ko khangala jaye, lekin sabse badi problem ye thi k woh sare book stalls ya to colse hu chuke the ya unhone comics/ novels ka kaam band kar diya tha, bahut dhundha apne shehar me, aas pass ke kuch shehron me, lekin kuch nahi mila.

Tab maine phir se internet pe dhundna shuru kiya to finally mujhe Raj Comics ki official site pe kuch novels ki collection mili, aisa laga jaise khoya hua khilona mil gaya. Sorry friends maine itna kuch likh diya lekin abhi tak maine apko ye nahi bataya k mera favorite writer kaun tha, ye post likhne ke liye main majboor hua hu to sirf aur sirf us writer ki wajah se jiska naam hai "Keshav Pandit" maine bahut se writers ke novels padhe the lekin jo maja Keshav Pandit ke novels padhne me milta tha woh mujhe kisi aur writer ko padhne se nahi milta tha, (its my persoanl opinion) baki pasand apni-apni wali baat hai.

Ab jab mujhe mera bachpan ka khazana mil gaya tha to ab der kaisi, maine Raj Comics ki site se keshav pandit ke sare novels online purchase kar liye, jo ki mujhe milne the kareeb 20-25 din me aur main 20 saal baad keshav pandit ke novels purchase kar raha tha to mere liye wait karna bahut mushkil tha, order karne ka baad maine woh 20 din kaise kate the ye main hi janta hu. Finally woh din a gaya jab mujhe mera parcel mila, dhadkte dil se maine box khola aur Keshav Pandit ke novels ko ek tak bas dekhta hi raha, kitni der tak, pata nahi.

To be continued.....................


Keshav Pandit

Ashirwad Pnadit

Ved Parkash Sharma

Shagun Sharma

Anil Mohan

Surender Mohan Pathak

Reema Bhati

Shiva Pandit

James Hadely Chase

Raj Verma

Rajan Iqbal

Rajvansh

Ranu

Sangram Sindhu Gatha

Amish Tripathi

Utkarsh Shrivastva

Misc


Click-Here to get single link for any of the above character.



READING PASSION

 

No comments:

Post a Comment